Posts

Showing posts from 2021

Dil ka Rishta

Kyun in aasuoon se jhalakti hai meri sharam, Tanhaayi ki taraf se behek jaate hai Bharam. Zindagi ki in takleefon se, ab na ghabrata mann, Khwaishon ki in umeedon se, bechain ho jata hai tann. Dil kabhi toh sambhal jaa, yun na pukaar meeri aas ko, Nazron k inn zarokho se, bekabu hoye meri aadat jo. Fir udd chala mai, Fir gir pada mai, Ab na mai muskuraunga. Chahat k inn shabdon ko, kabhi na badal paaunga. Tut gye voh rishte, tut gya voh dil, Toot chuka voh nata, Jisme the hum kabhi shaamil. In zakhmo ki peeda, gande nishaan sahi, Reh gye in yaadon me, voh ishq na aya kabhi. Boond boond har rishta, Judkar bana pyaar  Toota jaise Aaiyna, Dil.. tu toot gya iss baar.